People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 9 *

Bachale Ae Maula Ae Raam
Singer: Mohammad Rafi
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/Bacha-Le-Ae-
bina sifarish mile naukari, bin rishvat ho kaam
are isiko anhoni kahte hai, isika kaljug naam
vatan ka kya hoga anjam bacha le ae maula ae ram
vatan ka kya hoga anjam bacha le ae maula ae ram
bacha le ae maula ae ram, bacha le ae maula ae ram
vatan ka kya hoga anjam bacha le ae maula ae ram

rishvat pe chalte the chakkar chhote ho ya mote
band hui ye rasam to dhande ho jayenge khote re
dhande ho jayenge khote
ghar ghar me matam hoga daftar daftar kohram
bacha le ae maula ae ram
vatan ka kya hoga anjam bacha le ae maula ae ram

yahi chala agar dang to yaro honge bure natije
bhuke marenge netaao ke bete aur bhatije
marenge bete aur bhatije
jitni ijjat bani thi ab tak sab hogi nilaam
bacha le ae maula ae ram
vatan ka kya hoga anjam bacha le ae maula ae ram

rishvat se muh band the sabke ab phutenge bhande
are pata chalega kiske hisse mile hue the daande
kaun sa theka lekar kisne kitna maal banaya
kitni ujrat di logo ko kitna dil dukhlaya
kon si file kis daftar se kaise hongi chori
kisne kitni gaddari ki kitni bhari tijori
kis mil malik ke paise ne kitne vot kamaye
are kursi mili to desh bhagat ne kitne note kamaye
rishvat se hi chhupe hue the sab kale kartut
nange hokar samne aayenge ab sabhi saput
duniya bhar ke mulko me hoga bharat badnaam
bacha le ae maula ae ram
vatan ka kya hoga anjam bacha le ae maula ae ram
bacha le ae maula ae ram, bacha le ae maula ae ram
vatan ka kya hoga anjam bacha le ae maula ae ram
Jagega Insaan Zamana Dekhega
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/Jaage-Ga-Ins
jagega insan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega
uthega tufan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega

bahata chalega milo naharo ka pani
jhumegi kheti jaise jhume jawani
chamkega desh hamara o mere sathi re
aankho me kal ka nazara mere sathi re
chamkega desh hamara mere sathi re
aankho me kal ka nazara mere sathi re
navyug ka vardan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega

phirte the mulko mulko jholi psare
ab se jiyenge hum bhi apne sahare
chamkega desh hamara mere sathi re
aankho me kal ka nazara mere sathi re
chamkega desh hamara mere sathi re
aankho me kal ka nazara mere sathi re
bhare hue khalihaan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega

phutega moti banke apna pasina
phutega moti banke apna pasina
duniya ki kaume humse sikhengi jina
chamkega desh hamara mere sathi re
aankho me kal ka nazara mere sathi re
chamkega desh hamara mere sathi re
aankho me kal ka nazara mere sathi re
kal ka hindustan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega
jagega insan zamana dekhega
Itni Jaldi Na Karo
Singer: Asha Bhosle
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/Itni-Jaldi-N
itni jaldi na karo raat ka dil tutega
aap jayenge to zazbaat ka dil tutega
itni jaldi na karo, dil tutega

sari raat yu na jaage to jawani kya
subah tak na chale to kahani kya
zulf jo humne banai thi wo bikhri bhi nahi
rang pe aake ye mehfil abhi nikhri bhi nahi
zulf jo humne banai thi wo bikhri bhi nahi
rang pe aake ye mehfil abhi nikhri bhi nahi
shamma ka saaz ka nagma ka dil tutega
haye itni jaldi na karo, dil tutega

kam se kam pyar ka ilzam to lete jaye
aaj ki raat ka inaam to lete jaye
kam se kam pyar ka ilzam to lete jaye
aaj ki raat ka inaam to lete jaye
chal diye aap to har baat ka dil tutega
haye itni jaldi na karo raat ka dil tutega
aap jayenge to zazbaat ka dil tutega
itni jaldi na karo
zindagi ke rang kayi re saathi re
Singer: Asha Bhosle
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/Zindagi-Ke-R
zindagi ke rang kayi re saathi re
zindagi ke rang kayi re
zindagi ke rang kayi re saathi re
zindagi ke rang kayi re

zindagi dilo ko kabhi jodati bhi hai
zindagi dilo ko kabhi todati bhi hai
zindagi dilo ko kabhi todati bhi hai
zindagi ke rang kayi re saathi re
zindagi ke rang kayi re

zindagi ki raah me khushi ke phul bhi
zindagi ki raah me gamo ki dhul bhi
zindagi ki raah me gamo ki dhul bhi
zindagi ke rang kayi re saathi re
zindagi ke rang kayi re

zindagi kabhi yaqi kabhi gumaan hai
har kadam pe tera-mera imtahaan hai
har kadam pe tera-mera imtahaan hai
zindagi ke rang kayi re saathi re
zindagi ke rang kayi re
zindagi ke rang kayi re saathi re
zindagi ke rang kayi re
Neele Parbatonki Dhara
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/Neele-Parbat
o nile parbato ki dhaara
aayi dhundhne kinara badi dur se
sabko sahara chaahiye, koi hamara chaahiye
o nile parbato ki dhaara
aayi dhundhane kinara badi dur se
sabko sahara chaahiye, koi hamara chaahiye

phul me jaise phul ki khushabu
dil me hai yun tera basera
dharati se ambar tak phaila
chaahat ki baaho kaa ghera
o nile parbato ki dhaara
aayi dhundhne kinara badi dur se
sabko sahara chaahiye, koi hamara chaahiye

suraj pichhe ghume dharati
saanjh ke pichhe ghume savera
jis naate ne in ko baandhe
vo naata hai tera mera
o nile parbato ki dhaara
aayi dhundhne kinara badi dur se
sabko sahara chaahiye, koi hamara chaahiye
o nile parbato ki dhaara
O Yara Dildara
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/O-Yara-Dilda
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
aisa kuch kar paye yado me bas jaye
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
ho sadiyo jahan me ho charcha hamara
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta

jalti mashale leke milni ki raato me
milni ki rato me
aage aage hum chale yaro ki baraato me
yaro ki baraato me
fanse koi bholi bhali apni bhi baato me
apni bhi baato me
kisi ki kalaayi aaye apne bhi haatho me
apne bhi haatho me
ho sadiyo jahan me ho charcha hamara
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
aisa kuch kar paye yado me bas jaye
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta

nit naye dhundhe mujhe nit naye mile ho
nit naye mile ho
pariyo me ghire rahe kabhi na akele ho
kabhi na akele ho
gum ki ghataaye ho ki khushiyo ke rele ho
khushiyo ke rele ho
dono se nibhaane wale hum albele ho
hum albele ho
ho sadiyo jahan me ho charcha hamara
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
aisa kuch kar paye yado me bas jaye
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta

humsa jiyala koi mile na hajaro me
mile na hajaro me
mare chahe jiye rahe agli kataro me
agli kataro me
jhalke hamara lahu kal ki baharo me
kal ki baharo me
ashqo ka tauhafa hoke bant jaye yaaro me
bant jaye yaaro me
ho sadiyo jahan me ho charcha hamara
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
aisa kuch kar paye yado me bas jaye
dil karta o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
o yara dildara mera dil karta
Ijaazat Ho
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/Ijaazat-Ho/O
ke ijaazat ho to puchhe aap hi se
ke hum milkar bhi hai kyun ajnabi se
mile hum tum ise yuhi naa samajho
koi milta nahi yuhi kisi se

hazaaro shaukh kurbaan uspar
jo tumne keh diya hai saadgi se
ajab sa lag raha hai tumse kahkar
ye baate hum naa kahte the kisi se

meri manzil ki raahe jagmaga do
mohabbat ki sunheri roshani se
safar ki intaha hone naa paaye
sada ka sath lele zindagi se
Zindagi Ittefaq Hai(Female)
Singer: Asha Bhosle
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/Zindagi-Itte
zindagi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi
aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai

jaam pakad badha ke haath
maang dua ghate na raat
jaan-e-vafa teri qasam
kahte hai dil ki baat ham
gar koyi mel ho sake
aankho ka khel ho sake
apne ko khush nasib jaan
vaqt ko meharabaan maan
milte hai dil kabhi-kabhi
varna hai ajnabi sabhi
mere hamdam, mere meharabaan
har khushi ittafaaq hai
har khushi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi
aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai

husn hai aur shabaab hai
zindagi kamayaab hai
bazm yun hi khili rahe
apani nazar mili rahe
rang yun hi jamaa rahe
vaqt yu hi thama rahe
saaz ki lay pe jhum le
zulf ke kham ko chum le
mere kiye se kuchh nahi
tere kiye se kuchh nahi
mere hamdam, mere meharabaan
ye sabhi ittafaaq hai
ye sabhi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi
aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai
Zindagi Ittefaq Hai
Music: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aadmi-Aur-Insaan/Zindagi-Itte
zindagi ittafaaq hai, zindagi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai

jaam pakad badha ke haath maang dua ghate na raat
jaan-e-vafa teri qasam kahte hai dil ki baat ham
gar koyi mel ho sake aankho ka khel ho sake
apne ko khush nasib jaan vaqt ko meharabaan maan
milte hai dil kabhi-kabhi varna hai ajnabi sabhi
mere hamdam mere meharabaan
har khushi ittafaaq hai, har khushi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai

husn hai aur shabaab hai zindagi qaamayaab hai
bazm yun hi khili rahe apani nazar mili rahe
rag yun hi jamaa rahe vaqt yu hi thama rahe
saaz ki lay pe jhum le zulf ke kham ko chum le
mere kiye se kuchh nahi tere kiye se kuchh nahi
mere hamdam mere meharabaan
ye sabhi ittafaaq hai, ye sabhi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai, zindagi ittafaaq hai

koi to baat kijiye yaaro ka saath dijiye
kabhi gairo se bhi apno ka gumaan hota hai
kabhi apne bhi najar aate hai begaane se
kabhi khwabo me chamakte hai muraado ke mahal
kabhi mahalo me ubhar aate hai viraane se
koi rut bhi sada nahi kya hoga kuch pata nahi
gum fizul hai gum na kar aaj ka jashn kam na kar
mere hamdam mere meharabaan
har khushi ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai

khoye se ho kyu is kadar dhundhti hai kise najar
aaj maalum hua pehle ye maalum na tha
chahte badh ke pashemaan bhi ho jaati hai
dil ke daaman se lipatati hui rangin najare
dekhte dekhte anjaan bhi ho jaati hai
dekhte dekhte anjaan bhi ho jaati hai
yaad jab ajnabi bane yaad jab berukhi bane
dil pe seh ja gila na kar sabse haskar mila najar
mere hamdam mere meharabaan
dosti ittafaaq hai
kal bhi ittafaaq thi, aaj bhi ittafaaq hai
zindagi ittafaaq hai